aa jaaye.n ham nazar jo koii dam bahut hai yaa.N
------------------------------------------------
aa jaaye.n ham nazar jo koii dam bahut hai yaa.N
mohalat basaa.N-e-barq-o-sharaar kam bahut hai yaa.N
yak lahazaa siinaa kobii se furasat hame.n nahii.n
yaani ki dil ke jaane kaa maatam bahut hai yaa.N
ham raharavaa.N-e-raah-e-fanaa der rah chuke
vaqfaa basaa.N-e-sub_h koii dam bahut hai yaa.N
haasil hai kyaa sivaaye tarai ke dahar me.n
uTh aasmaa.N tale se ke shabanam bahut hai yaa.N
is butakade me.n maanii kaa kis se kare.n savaal
aadam nahii.n suurat-e-adam bahur hai yaa.N
ajaaz-e-isavii se nahii.n bahas ishq me.n
terii hii baat jaan-e-mujassim bahut hai yaa.N
mere hilaak karane kaa Gam hai abas tumhe.n
tum shaad zi.ndagaanii karo Gam bahut hai yaa.N
shaayad ke kaam sub_h tak apanaa khi.nche na 'Meer'
ahavaal aaj shaam se daraham bahut hai yaa.N
==========
a.Nkho.n me.n jii meraa hai idhar yaar dekhanaa
----------------------------------------------
aa.Nkho.n me.n jii meraa hai idhar yaar dekhanaa
aashiq kaa apane aaKharii diidaar dekhanaa
kaisaa chaman ke ham se asiiro.n ko manaa hai
chaak-e-qafas se baaG kii diivaar dekhanaa
aa.Nkhe.n churaaiio na Tuk abr-e-bahaar se
merii taraf bhii diidah-e-Khuu.N_baar dekhanaa
ae ham-safar na aable ko pahu.Nche chashm-e-tar
lagaa hai mere paao.n me.n aa Khaar dekhanaa
honaa na chaar chashm dik uss zulm-paishaah se
hoshiyaar ziinhaar Khabardaar dekhanaa
sayyad dil hai daaG-e-judaaii se rashk-e-baaG
tujh ko bhii ho nasiib ye gulazaar dekhanaa
gar zam_zamaa yahii hai koii din to ham-safiir
is fasl hii me.n ham ko giriftaar dekhanaa
bul-bul hamaare gul pe na gustaaKh kar nazar
ho jaayegaa gale kaa kahii.n haar dekhanaa
shaayad hamaarii Khaak se kuchh ho bhii ae nasiim
Girbaal kar ke kuuchaa-e-dildaar dekhanaa
us Khush-nigaah ke ishq se parahez kiijio 'Meer'
jaataa hai leke jii hii ye aazaar dekhanaa
==========
aarazuue.n hazaar rakhate hai.n
-------------------------------
aarazuue.n hazaar rakhate hai.n
to bhii ham dil ko maar rakhate hai.n
barq kam hausalaa hai ham bhii to
dil ek beqaraar rakhate hai.n
Gair hai muuraad-e-inaayat haa_e
ham bhii to tum se pyaar rakhate hai.n
na nigaah na payaam na vaadaa
naam ko ham bhii yaar rakhate hai.n
ham se Khush zam-zamaa kahaa.N yuu.N to
lab-o-lahajaa hazaar rakhate hai.n
chhoTe dil ke hai.n butaa.N mashhuur
bas yahii aitabaar rakhate hai.n
phir bhii karate hai.n "Meer" saahib ishq
hai.n javaa.N iKhtiyaar rakhate hai.n
==========
ashk aa.Nkho.n me.n kab nahii.n aataa
------------------------------------
ashk aa.Nkho.n me.n kab nahii.n aataa
lahuu aataa hai jab nahii.n aataa
hosh jaataa nahii.n rahaa lekin
jab vo aataa hai tab nahii.n aataa
dil se ruKhasat huii koii Khvaahish
giriyaa kuchh be-sabab nahii.n aata
ishq kaa hausalaa hai shart varnaa
baat kaa kis ko dhab nahii.n aataa
jii me.n kyaa-kyaa hai apane ae hamdam
har suKhan taa ba-lab nahii.n aataa
=========
baarahaa gor dil jhukaa laayaa
-----------------------------
baarahaa gor dil jhukaa laayaa
ab ke shart-e-wafaa bajaa laayaa
qadar rakhatii na thii mitaa-e-dil
saare aalam ko mai.n dikhaa laayaa
dil ke yak qataraa-e-Khuun nahii.n hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
sab pe jis baar ne giraanii kii
usako ye naatavaa.N uThaa laayaa
dil mujhe us galii me.n le jaa kar
aur bhii Khaak me.n milaa laayaa
ab to jaate hai.n butakade ae 'Meer'
phir mile.nge agar Khudaa laayaa
==========
be-Khudii le gaii kahaa.N ham ko
-------------------------------
be-Khudii le gaii kahaa.N ham ko
der se intazaar hai apanaa
rote phirate hai.n saarii-saarii raat
ab yahii rozagaar hai apanaa
de ke dil ham jo ho gae majabuur
is me.n kyaa iKhtiyaar hai apanaa
kuchh nahii.n ham misaal-e-anqaa lek
shahar-shahar ishtahaar hai apanaa
[misaal-e-anqaa=rare/unobtainable]
jis ko tum aasmaan kahate ho
so dilo.n kaa Gubaar hai apanaa
==========
dil-e-pur_Khuu.N kii ik gulaabii se
-----------------------------------
dil-e-pur_Khuu.N kii ik gulaabii se
umr bhar ham rahe sharaabii se
dil dahal jaaye hai sahar se aah
raat guzaregii kis Kharaabii se
[dil dahalanaa = to dread/fear; sahar = morning]
khilanaa kam kam kalii ne siikhaa hai
us kii aa.Nkho.n kii niim_Khvaabii se
[niim_Khvaabii = half open (drowsy)]
kaam the ishq me.n bahut se 'Meer'
ham hii faariG hue shitaabii se
==========
dil kii baat kahii nahii.n jaatii, chup ke rahanaa Thaanaa hai
--------------------------------------------------------------
dil kii baat kahii nahii.n jaatii, chup ke rahanaa Thaanaa hai
haal agar hai aisaa hii to jii se jaanaa jaanaa hai
surKh kabhuu hai aa.Nsuu hoke zard kabhuu hai muu.Nh meraa
kyaa kyaa rang mohabbat ke hai.n, ye bhii ek zamaanaa hai
fursat hai yaa.n kam rahane kii, baat nahii.n kuchh kahane kii
aa.Nkhe.n khol ke kaan jo khole bazm-e-jahaa.n afsaanaa hai
teG tale hii us ke kyuu.N naa gardan Daal ke jaa baiThe.n
sar to aaKhir_kaar hame.n bhii haath kii or jhukaanaa hai
[faariG = rid of/free]
==========
dil se shauq-e-ruKh-e-niko na gayaa
-----------------------------------
dil se shauq-e-ruKh-e-niko na gayaa
jha.Nkanaa taakanaa kabhu na gayaa
har qadam par thii us kii ma.nzil lek
sar se saudaa-e-justajuu na gayaa
sab gaye hosh-o-sabr-o-taab-o-tavaa.N
lekin ai daaG dil se tu na gayaa
ham Khudaa ke kabhii qaayal to na the
un ko dekhaa to Khudaa yaad aa gayaa
dil me.n kitane masaude the vale
ek pesh us ke ruu-ba-ruu na gayaa
subaah gardaan hii 'Meer' ham to rahe
dast-e-kotaah taa sabuu na gayaa
==========
faqiraana aaye sadaa kar chale
------------------------------
faqiraana aaye sadaa kar chale
miyaa.N Khush raho ham duaa kar chale
jo tujh bin na jiine ko kahate the ham
so is ahd ko ab wafaa kar chale
koii naa-ummiidaana karate nigaah
so tum ham se muu.Nh bhii chhipaa kar chale
bahot aarazuu thii galii kii terii
so yaa.N se lahu me.n nahaa kar chale
dikhaaii diye yuu.N ki beKhud kiyaa
hame.n aap se bhii judaa kar chale
jabii.n sajadaa karate hii karate gaii
haq-e-ba.ndagii ham adaa kar chale
parastish kii yaa.N taiin ki ayei but tujhe
nazar me.n sabo.n kii Khudaa kar chale
gaii umr dar ba.nd-e-fikr-e-Gazal
so is fan ko aisas ba.Daa kar chale
kahe.n kyaa jo puuchhe koii ham se "Meer"
jahaa.N me.n tum aaye the, kyaa kar chale
===========
Gam rahaa jab tak ki dam me.n dam rahaa
--------------------------------------
Gam rahaa jab tak ki dam me.n dam rahaa
dil ke jaane kaa nihaayat Gam rahaa
husn thaa teraa bahot aalam fareb
Khat ke aane par bhii ik aalam rahaa
mere rone kii haqiiqat jis me.n thii
ek muddat tak vo kaaGaz nam rahaa
jaamaa-e-eharaam-e-zaahid par na jaa
thaa haram me.n lekin naa-maharam rahaa
[jaamaa-e-eharaam=robe worn on Haj; naa-maharam=immodest/impure]
==========
hotii hai agarche kahane se yaaro.n paraaii baat
----------------------------------------------
hotii hai agarche kahane se yaaro.n paraaii baat
par ham se to thamii na kabhuu muu.Nh pe aaii baat
kahate the us se milate to kyaa-kyaa na kahate lek
vo aa gayaa to saamane us ke na aaii baat
bul-bul ke bolane me.n sab a.ndaaz hai.n mere
poshiidaa kyaa rahii hai kisu kii u.Daaii baat
[poshiidaa=hidden]
ik din kahaa thaa ye ke Khaamoshii me.n hai vaqaar
so mujh se hii suKhan nahii.n mai.n jo bataaii baat
[vaqaar=honor]
ab mujh zaif-o-zaar ko mat kuchh kahaa karo
jaatii nahii.n hai mujh se kisu kii uThaaii baat
[zaif-o-zaar=old and weak]
==========
ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa
---------------------------------
ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa
aage aage dekhiye hotaa hai kyaa
[ibtidaa-e-ishq = beginning of love]
qaafile me.n subah ke ik shor hai
yaani Gaafil ham chale sotaa hai kyaa
[qaafilaa=caravan; Gaafil=one who is careless/ignorant]
sabz hotii hii nahii.n ye sar_zamii.n
tuKhm-e-Khvaahish dil me.n tuu botaa hai kyaa
[tuKhm-e-Khvaahish=seeds of desire]
ye nishaan-e-ishq hai.n jaate nahii.n
daaG chhaatii ke abas dhotaa hai kyaa
Gairat-e-yusuf hai ye vaqt-e-aziiz
'Meer' is ko raayegaa.N khotaa hai kyaa
[Gairat-e-yusuf=Yusuf's honour; aziiz=dear]
=========
is ahad me.n ilaahii mohabbat ko kyaa huaa
------------------------------------------
is ahad me.n ilaahii mohabbat ko kyaa huaa
chho.Daa vafaa ko unne muravvat ko kyaa huaa
ummiid_vaar vaadaa-e-diidaar mar chale
aate hii aate yaaro.n qayaamat ko kyaa huaa
bakshish ne mujh ko abr-e-karam kii kiyaa Khijal
ae chashm-e-josh ashk-e-nadaamat ko kyaa huaa
jaataa hai yaar teG bakaf Gair kii taraf
ae kushtaa-e-sitam terii Gairat ko kyaa huaa
==========
ishq me.n jii ko sabr-o-taab kahaa.N
------------------------------------
ishq me.n jii ko sabr-o-taab kahaa.N
us se aa.Nkhe.n lagii.n to Khvaab kahaa.N
bekalii dil hii kii tamaashaa hai
barq me.n aise izteraab kahaa.N
hastii apanii hai biichh me.n pardaa
ham na hove.n to phir hijaab kahaa.N
giriyaa-e-shab se surKh hai.n aa.Nkhe.n
mujh balaa nosh ko sharaab kahaa.N
ishq hai aashiqo.n ko jalane ko
ye jahannum me.n hai azaab kahaa.N
mahv hai.n is kitaabii chehare ke
aashiqo.n ko sar-e-kitaab kahaa.N
ishq kaa ghar hai 'Meer' se aabaad
aise phir Khaanaamaa.N_Kharaab kahaa.N
==========
jiite-jii kuuchaa-e-dildaar se jaayaa na gayaa
---------------------------------------------
jiite-jii kuuchaa-e-dildaar se jaayaa na gayaa
us kii diivaar kaa sar se mere saayaa na gayaa
dil ke taaii.n aatish-e-hijraa.N se bachaayaa na gayaa
ghar jalaa saamane par ham se bujhaayaa na gayaa
kyaa tunak hausalaa the diidaa-o-dil apane aah
ek dam raaz mohabbat kaa chhupaayaa na gayaa
dil jo diidaar kaa qaayel kii bahot bhuukaa thaa
is sitam-kushtaa se yak zaKhm bhii khaayaa na gayaa
[sitam-kushtaa=oppressed/tortured]
shahar-e-dil aah ajab jaaye thii par uske gaye
aisaa uja.Daa ki kisii tarah basaayaa na gayaa
[jaaye=place]
==========
jo tuu hii sanam ham se bezaar hogaa
-----------------------------------
jo tuu hii sanam ham se bezaar hogaa
to jiinaa hame.n apanaa dushawaar hogaa
Gam-e-hijr rakhegaa betaab dil ko
hame.n ku.Dhate-ku.Dhate kuchh aazaar hogaa
jo afraat-e-ulfat hai aisaa to aashiq
koii din me.n baraso.n kaa bimaar hogaa
uchaTatii mulaaqaat kab tak rahegii
kabhuu to tah-e-dil se bhii yaar hogaa
[uchaTati=shallow/superficial]
tujhe dekh kar lag gayaa dil na jaanaa
ke is sangdil se hame.n pyaar hogaa